Sampatti Vivad aur Marpeet ki Ghatnayein

Main Dharmendra Bald Bheemsen Chourasiya Tili Ward Sagar Se Property Viwad Me Mere Saath Aaye Din Marpeet Hoti Hai.

1 Like

Dear @dharmendra_chourasiy,

Agar aapke saath property vivaad me maarpeet ho rahi hai to Apne najdeeki police station jaake maarpeet ki complaint likhwaayein ya ek FIR darj karein.

Yadi aap SAGAR, MADHYA PRADESH se hain to MP police ki CCTNS portal se ek online police shikayat kar skte hain.

Aur adhik madad ke liye, Aapka city aur state batayein taki hum aapko sahi jagah complaint file karne me madad kar sakein.

Naahi Yahaan Ki Police Kuch Sun Rahi Aur Naahi Yahaan Ke Police Department Ke Bade Adhikari Bhi Kisi Bhi Prakar Ki Koi Bhi Uchit Karyawahi Nahin Kar Rahe Hain, Aur 2nd October Ko Mujhe Meri Chay Ki Dukan Ke Samne Aakar Dono Aadmi Aurat Ne Mere Fawde Se Mera Sar Bich Me Se Fad Diya, Aur Police Complent Gopalganj Thana Me Huyi, Lekin Gopalganj Thana Ke Kuch Police Karmiyon Ne Ek Galat Dharayein Lagakar Report Tiyaar Ki,Aur Meri Maa Aur Biwi Ke Saath Bahut Jyaada Badtamiji Karne Lage, Aur F.I.R. Me Galat Dharayein Lagakar Veerendra Aur Pratibha Chourasiya Se Rupayaa Paisa Lekar Mujhe Waa Mere Pariwaar Ko Pareshan Karne Lage, Mujhe Brain Stroke Ki Ghatak Bimari Hai.Aur Aaye Din Mujhe Jaanlewa Ghatak Fit Aate Hai.Aur Police Prashasan Ke Bade Adhikari Bhi Complent Karne Par Koi Bhi Uchit Karyawahi Nahin Kar Rahe Hain, Aur Saath Hi Saath C.M. Help Line Se Bhi Mere Dwaara Ki Gayi Complents Automatically Gol Ho Jati Hain, Meri Aapse Haath Jodkar Winti Pukaar Hai Ke Aap Hi Upar Se Koi Uchit Karyawahi Karne Ki Kripa Karein. Dhanyawaad

Dear @dharmendra_chourasiy,

Aapki sthiti ko dekhte hue, main aapko salah dena chahunga ki aap court mein case file karein. Jab police aur bade adhikari koi sahi action nahi le rahe hain, to court mein case file karna ek sahi kadam hoga, jisse aapki complaint par theek se sunwayi ho sake. Saath hi, aap court se apni suraksha ke liye protection bhi maang sakte hain, khaas kar aapki health ki gambhir sthiti ko dekhte hue.

To file a case online through e-courts, follow these simple steps:

  1. Register on the e-courts portal.
  2. Prepare Documents: Ensure all necessary documents like your complaint, ID proof, and any evidence are scanned and ready.
  3. Submit Case Details: Fill in the required case details in the online form.
  4. Upload Documents: Attach the scanned documents.
  5. Pay Court Fees: Make the necessary payment online.
  6. Submit the Case: Complete the process by submitting your case.

For the full procedure, visit: e-court online case e-filing

Agar aapko is process mein aur madad chahiye, to hume zaroor batayein.